Thursday 16 July 2020

Create Online Test Paper

Online Test paper Tayar karna

1).   Sab se pahele Google open kar ke waha “testmoz.com” type kare.
2).   Fir “Build a test” is option ko click kare.
3).   New page open hoga waha “Test name” or aap jo chahe wo password type kare password ko yaad rakhe fir “Create test” ko click kijiye.
Image..
4).   Us ke baad “Add questions” is option ko click kijiye.
5).   “Insert” is option se apni pasand ka question prakaar select kare.
Image……
6).   Us ke baad aap ne jis type ka question select kiya hai us ke mutabiq question likh ke save karte jaye.
7).   New question add karne ke liye right side me plus (+) ke symbol ko click kare.
8).   Aap ko jitne question tayar karne hai utne tayar karne ke baad test paper ko published kijiye.
9).   Online Test paper published hone ke baad ek “Link” aap ko milegi.
10). Ab ye link jise question paper send karna hai use send kijiye.

Students response check karne ke liye online test ki link ko open kare or “admin login” ko click kar ke password likhe or “View Result” pe jaa kar students ne jo answers diye hai us ki summary aap ko dikhe gi.
To chale Online Test tayar karte hai….