Monday 20 July 2020

Create Smart Pdf on Mobile

Mobile se Smart PDF Tayar karna

1).   Sab se pahele Google open kar ke waha “escapepdf.com” type kare.
2).   Fir jo page open hoga us me top right side me 3 parallel line ko click kare.
3).   New page open hoga waha “Use Free” ya “My Account” ko click kijiye.
4).   Us ke baad “Edit PDF File” is option ko click kijiye.
5).   New page open hoga waha “Upload PDF to PDFescape” ko click kijiye.
6).   Us ke baad aap ko jis Image ya PDF ko Smart PDF me convert karna hai use “Choose File” is option ko click kar ke Upload kijiye.
7).   New page open hoga us me top left side me “Insert” ko click karte hi wahi ek sub menu open hoga us me “Link” is option ko click kijiye.
8).   Aap ne jo PDF upload kiye hai us me jaha aap ko link apply karna hai us Text ya Image ko click kijiye.
9).   Click karte hi “Link Properties” name ka dialog box open hoga waha aap ko jo link apply karna hai wo type karne ke baad “OK” ke button ko click kijiye.
10). Agar aapko ek se ziyada Text ya Imge par Link apply karna hai to diye gaye point number 7,8 or 9 ko follow kijiye.
11). Fir is file ko “Save” ke option ko click kar ke file ko save kijiye.
12). Save karne baad file ko “Download” kijiye.
13). Download hone ke baad aap ki Smart PDF file use karne ke liye tayar hai.